Monday, September 21, 2009

KALAQ

Raat Ke Andhere ko Kalaq Kahoon ya syahai..
Samajh nahin paya hoon.
Zindagi ke utaar Chadav ko
Ek bhool Bhulaiya kahoon ya kya..
Samajh nahin paya hoon.
Samajh Nahin paya hoon kucch Shabd,rishtey, mausam aur wafaaiye.
Raat ke Andhere to Shayai Kahoon ya Kalaq
Samajh nahin Paya hoon.

Thursday, September 17, 2009

SHABD

Jism Tarashey..
Numaishey Ki.
Zindagi Mein kitni
Farmaishey Ki.
Gar miley mauka..
Aur jee loonga
Nazm, Geet, Gazal..
Likh Shabdon ko
Kalam Band kar loonga.