Sunday, July 18, 2010

अपरिचित..

Bheed mein rah kar
bheed ka ho kar
Phir bhi itna tanha hoon kyon
Apne aap se parichit ho kar
Itna hoon aparichit kyoon?

17/02/1998

चाह..

Chah kar bhi haan keh na payoon
pakar bhi usey kho na jayoon
Kam hoti doori ko dekhoon
phir bhi doori se ghabraoon.

17/02/1998

आंसू.

Ek aankh se aansoo nikley
Ek aankh se Moti
Apni apni wyatha sunaiyen..
Apni apni apni anubhuti.

17/02/1998

समय गुज़र गया...

Ek bade darwazey.. Ki badi chokhat par
Dhoond raha tha kucch chand katrey pasiney ke
Jo tapke they kabhi
Jo girey they kabhi
Aaj Unko been raha hoon..
been raha.. hoon kucch khwab kuch parchaiyaan
Jo ghatti rehti hain, badti rehti hain.
Samay Guzar sa gaya.

30/07/2000

दुआ...

Kehtey Hain Har Cheez
mil jaati hain dua se
Humnein to ek Rab manga tha
Woh bhi nahin utara aasman se..

10/11/1999

पल...

Ek Pal Sambhal Kar
Rakha Tha zindagi ke liye..
Zindagi lut gayi pal
wahi ka wahi thahr gaya.


13/07/1999

एक शाम...

Sukhey Patoon Mein
Khushboo si agayi
Aaj phir kucch beteey lamhein
yaad a gaye..

Yaad tumhari ayi to mein
bhool gaya kucch dard, kuch shikwey, kucch giley

Kuredney laga kucch sookhey zakhmo ko..
Ab kya kroon yeh zakhm bhi taaza ho gaye
aur phir ek sham purani si dhal gayi,
Shayad!!


14/08/1999

यादें...

Ek Taar ke saath banti
Judti yaadein..
Ek Taar ke saath toot gayi
Aur reh gaya ek jaal
Ek adboona sa jaal.

13/07/1999

फुर्सत....

Fursat Kahan Hain
Kisi ke paas kisi se baat karney ki
Fursat kahan Hain Kisis Ke Paas
Kisise kucch kehney sunney ki

Fursat Nahin.. Kabhi Bhi
Kahin Bhi, Kisi morh par gar miljao
To ruk kar baatein karney ki
yeh fursat, yeh fursat hi to nahin...


20/10/1999

भूल...

Ek Shaksh ki Shaksiyaat
Ko pehchanein ki Bhool ki
Koshish karta raha ek
Murdey mein jaan
dalney ki.



01-07-1999

Thursday, July 1, 2010

दिल

Mere Dil mein dard,
aankhon mein shikan nahin.
Mein jo hoon bol raha,
woh to koi gam nahin

सन्नाटे...

Raat ke andhere mein...
Sannate mein kho gaya hoon.
Kya Khabar Hain Mujhye..
Mein kya ho gaya hoon.
Dhoond raha hoon Khamoshi..
Mein viraney mein.
Jaan kar bhi shayad..
Lekin Anjaane mein.
Lafzoon ki pehchan bhool..
Shabdon ko yaad karta hoon.
AAj mein aabad hoon..Barbad
Poocha karta hoon.

Sunday, April 11, 2010

बादल...

Mat Garaj Baras e Badal tu..
Tu bhi kya Kar payega.
Auron ko gilla karke kya..
Khud Sukha Reh payega.

Saturday, April 10, 2010

मंजिल..

Un ankhon ko Bandh Rakh Kar..
Mein Kuch to dekh leta.
Kucch Karne ki Chah thi agar...
To karke to Dekhta.
Dekhna chahta agar apne ko ucch Shikhar Par..
To dhoop mein kabhi thoda to chalke dekhta.
Dekhta aur dhoondta...
Un apne se lagne wali cheezon ko.

Friday, April 9, 2010

समय..

Jo Guzar Gaya Who Kal tha… Jo Nahin Guzra who Samay !!