Monday, June 8, 2020

बहकना

बहकना ठीक है तो शब्द क्यों बहक ना कहता है...

किसिको क्या पता की तुझको मैने कैसे पाया है !

तू बहक कर जो खो भी जाए तो

लाज़िम है की इसमें नुक़सान भी मेरा है l

तू बहक ना की लोग तो बहकायेंगे यू ही...

किसिको बरबाद करने में भी क्या कोई वक़्त लगता है

बुरा तुम भी बोलो , मैं भी बोलूँ , हम सभी बोलें...

पर जिसके नाम से बहकाया है..

भला वो बुरा हो क्यूँ...

यह सोचो तुम भी, मैं भी, वो भी, हम भी...

की आख़िर उसने बहका के क्या  पाया  है.

Thursday, June 4, 2020

Seedhiyan Chadd Raha Hoon



Kamyabi ki seedhiyan chad raha hoon,
Main har din, har pal thoda ghat raha hoon.
Ghutan si hai zindagi main bhi,
Yeh kal to nahi tha huya abhi abhi.
Main samandhar bana katron ko seench kar..
Hatheli main nayi si lakeeren kheench kar.
Yeh lambi hain zindagi ki tarhan...
Yeh ghatatti hain mutthi bhar band raet ki tarhan.
Kamyabi ki seedhiyan Chad raha hoon,
Main har din, har pal thoda ghat raha hoon.

Wednesday, May 20, 2020

Bewaqt Ki Chai

Aao kabhi bewaqt ki chai pinne,

Mere paas aao na.

Ik pyaali tumhari ho.. Ek pyaali meri bhi.

Simmtey sammete shabdon ki potli,

Garm pani ki ek ho ketli.

Tum chai phir banao na...

Aur main khwabon ki cheeni gholun.

Yaadon ka doodh tum milao na..

Aao kabhi bewaqt ki chai pinne ...

Mere ghar aaao na.

Thursday, May 14, 2020

Talaash Main.

Main gaon se nikla shehar ki talaash main

Aur shehar se nikla khud ki talaash main.

Nikla galliyon se.. raston se.. kucch jaaane pehchane se

Aur khud ko dhoondta raha ek maikhane mein.

Nashe mein choor tha, na thi sud aur na hi khabar...

Dhoonde gaye tha jise, dhoondta raha woh shajar.

Dhondta reh gaya ik addh khali payale main.

Dooba aaaya tha jisse Ganga ke paani main

Sisak kar.. sooch kar .. yaadon ko beenta hoon

Main talaash main hoon... Khud ko dhoondta hoon.

Faasla

Ik faasla.. muqammal faasla bana rakha hai.

Waqt ne humein yuh hi do paaton ke beech main fansa rakha hai...

Kayyi pees gaye, kayi bache hai shayad daane picchli faslon ke

Ghatate ghatate, ab simmat gaye hain zindagi kucch aise.

Muqammal hone ka silsila bhi ab kahan chuppa rakha hai.

Ik faasla muqammal faasla bana rakha hai.

Tuesday, May 5, 2020

Main Khud Hi Kabhi

Main koshish karta chamakne ki...

Kabhi sooraj banta .. kabhi chand bhi...

Main din ke ujjale main aaankhein meech ta...

Main raaat ke andhere aasman main ujjale dhoondta...

Main khud hi kabhi...

Ik Chand Sa

Main aadhe chand sa kahin.. poora hone ko baitha hoon...

Hai chandani bhi hai kalaq bhi main khudi main lipta baitha hoon...

Hai badal koi syaaah sa... Barasne ko bekraar.. main sochta hoon ki piloo use..

Hain aasman mujhse... Ya main aaasman main..

Woh to hamesh aisa hai...

Main kabhi poora kabhi adhoora.. main aadhe chand sa kahin poora hone ko baitha hoon.

Ghar

Main agar dil main aaa jayoon to ghar ki kya zaroorat..

Ghar main to waisey bhi deewaron nein makaan bana rakha hai

Ik Manzil

Main Sadkon, samandaron pahadon pe...

Main yun hi chadd chadd kar patharo par ik manzil ko dhoondta hoon

Marne Ke Baad kya Hota Hoga

Marne ke Baad kya hota hoga.. yeh soocho tum bhi aur main bhi.

Kahin akela main hota hoonga..kahin akeli tumbhi ...

Jo aansoo tumhare tapakte hongey...

Yaad kar mujhe aur meri baatein bhi..

Marne ke baaad kya hota hoga yeh soocho tumbhi aur main bhi....

Kuccch yaaad tumhari jab aaati hain... Main soochon  tab bhi aur ab bhi

Marne ke Baad kya hota hoga..

Zara Rok Leti

Tumne mujhe jaaaane diya... Zara rok leti... Pehle bhi to kayyi baaar  kayyi baaaton par zid pakad kar rok leti thi....


Yeh aaaj to ro rahi ho pehle bhi to mujhe yun hi bahana kar rok leti thi

Badlaav

Har din badalta hai par kuccch dil nahi badalte...

Har dil badalta hai... Par kuccch din nahi badalte

FARQ

Zammen par baith kar aasmaan to dekhta hoon...
Kya aasmaaan par baith kabhi zameen ko taala tha...
Dikhne main farq to  hai
Dekhne main farq kucch nahi