Kamyabi ki seedhiyan
chad raha hoon,
Main har din, har pal thoda ghat raha hoon.
Ghutan si hai
zindagi main bhi,
Yeh kal to nahi tha
huya abhi abhi.
Main samandhar bana
katron ko seench kar..
Hatheli main nayi si
lakeeren kheench kar.
Yeh lambi hain zindagi
ki tarhan...
Yeh ghatatti hain
mutthi bhar band raet ki tarhan.
Kamyabi ki seedhiyan
Chad raha hoon,
Main har din, har
pal thoda ghat raha hoon.
No comments:
Post a Comment